Search This Blog

Saturday, July 23, 2011

UDAAN BHAR LENE DO


naye umango se aaj dhula sa hai aasmaan
shwet kirno se saja khwabo ka jahaan....
baadal bhi issharo mein hain bula rahe
aashaaon ki likhni hai nayi daastaan.....

naa girne ka hai darr aaj,naa khone ka gham hi hai
hai hoto pe muskurahat, naa aankhon mein nami hai
ek sadi beet gayi..mujhe ye abhaas hone ko
hai jindagi ye meri..saham ke kyun thami hai ........

aaj har bandhan hai jaise tuta sa
har daaman jaane kabse chuta sa
mann ko aaj par khol lene do
unmatt hai ise nashe mein rehne do
dagmagate kadmo ko mukaam tay kar lene do
aaj mujhe udaan bhar lene do...


har andhere ki hai subah, jo thode pal guzar jaaye
har chahat ki hai raah, jo kuch hausle ubhar aaye
bheegi palke bhi khubsurat lage
aise najariye ki jarurat hai
aasuon ki hain moti si keemat
har boond ek anmol amaanat hai
khushiyo ki wajah thi kayin
to kyun ab tak udaas tha
har mod pe hai nayi kahaani
beete pal se kyun hataash tha.....

aaj har mausam ka aaghaaz hai
dishaaon se gujti awaaz hai
har dhup mein chhaaw hai dikh rahi
jajbaato ko mile alfaaz hain
ab beh chale hum
      naa lahro ko yun rijhaane do
nayi dhun hai manchali
      ji bharke gungunane do
soch mein jo tarang hai..yatharth kar lene do
aaj mujhe udaan....bhar lene do..............

2 comments:

  1. Applause. I want this art of yours to be globalized. Great. It made me happy and to be more optimistic-Rajan

    ReplyDelete